hum jo oDhe hue ehsas ki chadar nikle
ham jo oḌhe hue ehsās kī chādar nikle
jin ko insān samajhte the vo patthar nikle
ḳhushk mausam thā magar Duub ga.e ahl-e-zamīñ
ham ne patthar jo haTā.e to samundar nikle
bai'at-e-dast-e-yazīdī mujhe manzūr nahīñ
mirī is baat pe har samt se ḳhanjar nikle
bastiyāñ bhī to darindoñ se nahīñ haiñ mahfūz
ghar se nikle bhī koī shaḳhs to kyūñkar nikle
jabr-e-tahzīb kī tārīḳh yahī hai ab tak
ek dīvār girā.ī to ka.ī ghar nikle
un ke chehre bhī nazar aa.e haiñ dhuñdle 'zarrīñ'
ā.ina-ḳhānoñ se jo log sañvar kar nikle
hum jo oDhe hue ehsas ki chadar nikle
jin ko insan samajhte the wo patthar nikle
KHushk mausam tha magar Dub gae ahl-e-zamin
hum ne patthar jo haTae to samundar nikle
bai'at-e-dast-e-yazidi mujhe manzur nahin
meri is baat pe har samt se KHanjar nikle
bastiyan bhi to darindon se nahin hain mahfuz
ghar se nikle bhi koi shaKHs to kyunkar nikle
jabr-e-tahzib ki tariKH yahi hai ab tak
ek diwar girai to kai ghar nikle
un ke chehre bhi nazar aae hain dhundle 'zarrin'
aaina-KHanon se jo log sanwar kar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.