hum jurm-e-mohabbat ki saza pae hue hain
ham jurm-e-mohabbat kī sazā paa.e hue haiñ
be-vaj.h nahīñ hai ki jo sharmā.e hue haiñ
thī jin kī tab o taab se is bazm kī raunaq
dīpak vo sar-e-shām hī kajlā.e hue haiñ
har samt siyāhī hai ghaTā-Top añdherā
kyā zulf-e-dotā aaj vo bikhrā.e hue haiñ
ham ḳhūgar-e-taslīm-o-razā aaj haiñ varna
maazī meñ bahut Thokareñ bhī khaa.e hue haiñ
hai barbat-e-dil saḳhti-e-mizrāb se larzāñ
talḳhi-e-mohabbat kā maza paa.e hue haiñ
ai dost sukūñ ham ko mayassar nahīñ hotā
āshuftagī-e-dahr se ghabrā.e hue haiñ
hum jurm-e-mohabbat ki saza pae hue hain
be-wajh nahin hai ki jo sharmae hue hain
thi jin ki tab o tab se is bazm ki raunaq
dipak wo sar-e-sham hi kajlae hue hain
har samt siyahi hai ghaTa-Top andhera
kya zulf-e-dota aaj wo bikhrae hue hain
hum KHugar-e-taslim-o-raza aaj hain warna
mazi mein bahut Thokaren bhi khae hue hain
hai barbat-e-dil saKHti-e-mizrab se larzan
talKHi-e-mohabbat ka maza pae hue hain
ai dost sukun hum ko mayassar nahin hota
aashuftagi-e-dahr se ghabrae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.