hum kabhi chashm-e-zamana mein na pinhan honge
Interesting Fact
Shola-e-Guftar, Lahore 1958
ham kabhī chashm-e-zamāna meñ na pinhāñ hoñge
ham har ik daur meñ har dil meñ numāyāñ hoñge
dard ban kar nafas-e-jāñ meñ samā jā.eñge
soz ban kar haram-e-dil meñ farozāñ hoñge
ham ḳhizāñ ho ke bhī haiñ raunaq-e-bazm-e-ālam
ham na hoñge to kahāñ jashn-e-bahārāñ hoñge
ham jaleñge ki tire naam kī lo raushan ho
ham ba-har-rañg tirī ziist kā sāmāñ hoñge
sozish-e-dard meñ hai 'arsh' qayāmat pinhāñ
vo bhī kyā hoñge jo is dard kā darmāñ hoñge
hum kabhi chashm-e-zamana mein na pinhan honge
hum har ek daur mein har dil mein numayan honge
dard ban kar nafas-e-jaan mein sama jaenge
soz ban kar haram-e-dil mein farozan honge
hum KHizan ho ke bhi hain raunaq-e-bazm-e-alam
hum na honge to kahan jashn-e-bahaaran honge
hum jalenge ki tere nam ki lo raushan ho
hum ba-har-rang teri zist ka saman honge
sozish-e-dard mein hai 'arsh' qayamat pinhan
wo bhi kya honge jo is dard ka darman honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.