hum kahan kunj-nashinon mein rahe
ham kahāñ kunj-nashīnoñ meñ rahe
āsmānoñ meñ zamīnoñ meñ rahe
rāheñ be-vaj.h munavvar na huiiñ
raat ḳhurshīd jabīnoñ meñ rahe
thā falak-gīr talātum shab kā
ham sitāroñ ke safīnoñ meñ rahe
jism se saañp nikal aate haiñ
ek do pal hī dafīnoñ meñ rahe
tum ko isrār hai ḳhālī ye makāñ
ham shab o roz makīnoñ meñ rahe
sabz daa.im shajar-e-harf uge
umr bhar shūra zamīnoñ meñ rahe
hum kahan kunj-nashinon mein rahe
aasmanon mein zaminon mein rahe
rahen be-wajh munawwar na huin
raat KHurshid jabinon mein rahe
tha falak-gir talatum shab ka
hum sitaron ke safinon mein rahe
jism se sanp nikal aate hain
ek do pal hi dafinon mein rahe
tum ko israr hai KHali ye makan
hum shab o roz makinon mein rahe
sabz daim shajar-e-harf uge
umr bhar shura zaminon mein rahe
- Book : Sar Sabz (Pg. 23)
- Author : Krishn Kumar Toor
- Publication : Aariz Offset Press 123 Shahzad Bagh Ind. Phase-II Delhi-35 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.