hum kahan saz pe gane ko ghazal kahte hain
ham kahāñ saaz pe gaane ko ġhazal kahte haiñ
apne dukh-dard bhulāne ko ġhazal kahte haiñ
varna be-jān se lafzoñ kī haqīqat kyā hai
tujh se milne ke bahāne ko ġhazal kahte haiñ
Dhaal kar tujh ko taḳhayyul ke hasīñ paikar meñ
ruuTh jaa.e to manāne ko ġhazal kahte haiñ
aap ke dil meñ utar jaa.e ta.ajjub kyā hai
ham to rag rag meñ samāne ko ġhazal kahte haiñ
sard jazbāt meñ ehsās kī chingārī se
rāt-din aag lagāne ko ġhazal kahte haiñ
saḳht chaTTān yā sañglāḳh zamīñ par 'nāzim'
pyaar kā phuul khilāne ko ġhazal kahte haiñ
hum kahan saz pe gane ko ghazal kahte hain
apne dukh-dard bhulane ko ghazal kahte hain
warna be-jaan se lafzon ki haqiqat kya hai
tujh se milne ke bahane ko ghazal kahte hain
Dhaal kar tujh ko taKHayyul ke hasin paikar mein
ruTh jae to manane ko ghazal kahte hain
aap ke dil mein utar jae tajjub kya hai
hum to rag rag mein samane ko ghazal kahte hain
sard jazbaat mein ehsas ki chingari se
raat-din aag lagane ko ghazal kahte hain
saKHt chaTTan ya sanglaKH zamin par 'nazim'
pyar ka phul khilane ko ghazal kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.