hum karen kis pe bharosa ki yahan sab jhuTe
ham kareñ kis pe bharosa ki yahāñ sab jhūTe
ye mohabbat ye mohabbat ke nishāñ sab jhūTe
koī aisā nahīñ mushkil meñ jo kuchh kaam aa.e
kis kā ham zikr kareñ jān-e-jahāñ sab jhūTe
ham ne dekhā hai vo manzar ki laraz jaatā hai dil
kaise kah deñ ki nahīñ ahl-e-jahāñ sab jhūTe
rāhateñ ḳhvāb sahī tum to haqīqat Thahre
baat ik sach hai yahī baaqī nishāñ sab jhūTe
dil bhī apnā nahīñ nāhaq hai shikāyat un kī
jis qadar bhī hoñ mohabbat meñ gumāñ sab jhūTe
ain mumkin hai ki tūfāñ meñ badal deñ tevar
jo safīne haiñ samundar meñ ravāñ sab jhūTe
un kī tasvīr bhī miT jā.egī ik din 'anjum'
ye nazāre ki jo haiñ rangfishāñ sab jhūTe
hum karen kis pe bharosa ki yahan sab jhuTe
ye mohabbat ye mohabbat ke nishan sab jhuTe
koi aisa nahin mushkil mein jo kuchh kaam aae
kis ka hum zikr karen jaan-e-jahan sab jhuTe
hum ne dekha hai wo manzar ki laraz jata hai dil
kaise kah den ki nahin ahl-e-jahan sab jhuTe
rahaten KHwab sahi tum to haqiqat Thahre
baat ek sach hai yahi baqi nishan sab jhuTe
dil bhi apna nahin nahaq hai shikayat un ki
jis qadar bhi hon mohabbat mein guman sab jhuTe
ain mumkin hai ki tufan mein badal den tewar
jo safine hain samundar mein rawan sab jhuTe
un ki taswir bhi miT jaegi ek din 'anjum'
ye nazare ki jo hain rangfishan sab jhuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.