hum KHamoshi se jo betab hua karte hain
ham ḳhamoshī se jo betāb huā karte haiñ
bandagānī ke bhī ādāb huā karte haiñ
kitne chamke haiñ do patthar ye mire chehre par
martī āñkhoñ meñ bhī kuchh ḳhvāb huā karte haiñ
koī miTte hue logoñ ko kabhī dekhe sahī
TuuTe hiire haiñ jo ġharqāb huā karte haiñ
ye alag baat namī un kī havāoñ meñ rahe
ḳhushk āñkhoñ meñ bhī sailāb huā karte haiñ
bahte aañsū se pata merā na pūchho hamdam
bhārī patthar to tah-e-āb huā karte haiñ
aise khaliyānoñ kī qismat meñ koī phuul kahāñ
khāre paanī se jo sairāb huā karte haiñ
kaun kahtā hai badaltā nahīñ rañgat paanī
ashk chhalkeñ to vo ḳhūñ-nāb huā karte haiñ
jo dar-e-yār pe dam toḌ diyā kartī haiñ
un nigāhoñ meñ bhī mahtāb huā karte haiñ
hum KHamoshi se jo betab hua karte hain
bandagani ke bhi aadab hua karte hain
kitne chamke hain do patthar ye mere chehre par
marti aankhon mein bhi kuchh KHwab hua karte hain
koi miTte hue logon ko kabhi dekhe sahi
TuTe hire hain jo gharqab hua karte hain
ye alag baat nami un ki hawaon mein rahe
KHushk aankhon mein bhi sailab hua karte hain
bahte aansu se pata mera na puchho hamdam
bhaari patthar to tah-e-ab hua karte hain
aise khaliyanon ki qismat mein koi phul kahan
khaare pani se jo sairab hua karte hain
kaun kahta hai badalta nahin rangat pani
ashk chhalken to wo KHun-nab hua karte hain
jo dar-e-yar pe dam toD diya karti hain
un nigahon mein bhi mahtab hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.