hum KHud pe rawa kaisa sitam rakkhe hue hain
ham ḳhud pe ravā kaisā sitam rakkhe hue haiñ
TuuTī huī kashtī meñ qadam rakkhe hue haiñ
biphrī huī maujoñ kā koī ḳhauf nahīñ ab
shāne pe mohabbat kā ‘alam rakkhe hue haiñ
tum saath na de pāoge ye ham ko ḳhabar hai
ham phir bhī vafāoñ kā bharam rakkhe hue haiñ
kuchh log jo milte haiñ hañsī lab pe sajā.e
vo dil meñ ka.ī ranj-o-alam rakkhe hue haiñ
'tasnīm' ko mā'lūm hai duniyā kā ravayya
yuuñ maslahatan rābte kam rakkhe hue haiñ
hum KHud pe rawa kaisa sitam rakkhe hue hain
TuTi hui kashti mein qadam rakkhe hue hain
biphri hui maujon ka koi KHauf nahin ab
shane pe mohabbat ka ‘alam rakkhe hue hain
tum sath na de paoge ye hum ko KHabar hai
hum phir bhi wafaon ka bharam rakkhe hue hain
kuchh log jo milte hain hansi lab pe sajae
wo dil mein kai ranj-o-alam rakkhe hue hain
'tasnim' ko ma'lum hai duniya ka rawayya
yun maslahatan rabte kam rakkhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.