hum KHuda kahte hain sab jis ko sanam kahte hain
ham ḳhudā kahte haiñ sab jis ko sanam kahte haiñ
tum na kahnā use allāh jo ham kahte haiñ
ranj kahte haiñ kise kis ko alam kahte haiñ
ham to is ko bhī tirā fazl-o-karam kahte haiñ
paḌ ke bīmār ayādat ko bulāyā tujh ko
dekh o rashk-e-masīhā ise dam kahte haiñ
log dete haiñ tire qad ko alam se tashbīh
ham tirī zulf ko dāmān-e-alam kahte haiñ
apnī bīmār se ab tak to hai sūjā-phūlā
haath paañv pe chaḌh aaya hai varam kahte haiñ
sar bhī kaT jaa.e to ai yaar na khā.eñ kabhī ham
jis ko kahte haiñ qasam ham use sam kahte haiñ
jo janāza hai vo insāñ ko nasīhat-gar hai
va.az kyā rāh-rav-e-mulk-e-adam kahte haiñ
khol kar nāma-e-a.amāl to apnā dekheñ
māl-o-asbāb ko jo log raqam kahte haiñ
us ne bhejī hai jo ye phuul kī botal ham ko
ham use naḳhl-e-mohabbat kī qalam kahte haiñ
qissa-e-ishq ko kab ek zabāñ kaafī hai
kabhī karte haiñ bayāñ vo kabhī ham kahte haiñ
chashm-o-abrū-e-butāñ shaiḳh-o-barahman dekheñ
dair kahte haiñ ise is ko haram kahte haiñ
mere nazdīk to ye kam nahīñ izzat merī
mujh ko vo banda-e-be-dām-o-diram kahte haiñ
sifat-e-kātib-e-taqdīr ke likhne vaale
arsa-e-hashr ko maidān-e-qalam kahte haiñ
log kahte haiñ jise pamba-e-mīnā saaqī
rind-e-mai-ḳhvār use abr-e-karam kahte haiñ
sā.il-e-bosa ko tum ne na diyā haa.e javāb
kuchh na kuchh muñh se bashar lā-o-na'am kahte haiñ
'kaif' hai yaad jinheñ kalima-e-mūtū har dam
apnī is hastī-e-fānī ko adam kahte haiñ
hum KHuda kahte hain sab jis ko sanam kahte hain
tum na kahna use allah jo hum kahte hain
ranj kahte hain kise kis ko alam kahte hain
hum to is ko bhi tera fazl-o-karam kahte hain
paD ke bimar ayaadat ko bulaya tujh ko
dekh o rashk-e-masiha ise dam kahte hain
log dete hain tere qad ko alam se tashbih
hum teri zulf ko daman-e-alam kahte hain
apni bimar se ab tak to hai suja-phula
hath panw pe chaDh aaya hai waram kahte hain
sar bhi kaT jae to ai yar na khaen kabhi hum
jis ko kahte hain qasam hum use sam kahte hain
jo janaza hai wo insan ko nasihat-gar hai
waz kya rah-raw-e-mulk-e-adam kahte hain
khol kar nama-e-amal to apna dekhen
mal-o-asbab ko jo log raqam kahte hain
us ne bheji hai jo ye phul ki botal hum ko
hum use naKHl-e-mohabbat ki qalam kahte hain
qissa-e-ishq ko kab ek zaban kafi hai
kabhi karte hain bayan wo kabhi hum kahte hain
chashm-o-abru-e-butan shaiKH-o-barahman dekhen
dair kahte hain ise is ko haram kahte hain
mere nazdik to ye kam nahin izzat meri
mujh ko wo banda-e-be-dam-o-diram kahte hain
sifat-e-katib-e-taqdir ke likhne wale
arsa-e-hashr ko maidan-e-qalam kahte hain
log kahte hain jise pamba-e-mina saqi
rind-e-mai-KHwar use abr-e-karam kahte hain
sail-e-bosa ko tum ne na diya hae jawab
kuchh na kuchh munh se bashar la-o-na'am kahte hain
'kaif' hai yaad jinhen kalima-e-mutu har dam
apni is hasti-e-fani ko adam kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.