hum KHuda the na KHudai apni
ham ḳhudā the na ḳhudā.ī apnī
kyā bayāñ karte baḌā.ī apnī
bas tirā dhyān mujhe aayā thā
phir kabhī yaad na aa.ī apnī
sab pahuñch meñ haiñ magar kyā kahiye
kis ke dil tak hai rasā.ī apnī
dil meñ laa.e tire ḳhvāboñ kā ḳhayāl
ham ne ḳhud niiñd uḌaa.ī apnī
tum ye kah do chalo ham haar ga.e
ḳhatm kī maiñ ne laḌā.ī apnī
kaun samjhegā ye aañsū haiñ guhar
kyoñ luTāte ho kamā.ī apnī
hum KHuda the na KHudai apni
kya bayan karte baDai apni
bas tera dhyan mujhe aaya tha
phir kabhi yaad na aai apni
sab pahunch mein hain magar kya kahiye
kis ke dil tak hai rasai apni
dil mein lae tere KHwabon ka KHayal
hum ne KHud nind uDai apni
tum ye kah do chalo hum haar gae
KHatm ki main ne laDai apni
kaun samjhega ye aansu hain guhar
kyon luTate ho kamai apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.