hum KHushi samne gham-KHwar ke rakh dete hain
ham ḳhushī sāmne ġham-ḳhvār ke rakh dete haiñ
hañs ke do bol bhī phir pyaar ke rakh dete haiñ
jab bhī uThtī hai na.ī dil meñ tamanna koī
ham jagah par hī use maar ke rakh dete haiñ
mas.ale ghar ke agar haiñ to karo hal ghar meñ
mas.ale biich meñ kyoñ chaar ke rakh dete haiñ
ham jahāñ karte haiñ taqrīr vahāñ par qisse
apne aslāf ke kirdār ke rakh dete haiñ
jis ko jis chiiz kī hotī hai zarūrat 'ahmad'
rū-barū ham vo talabgār ke rakh dete haiñ
hum KHushi samne gham-KHwar ke rakh dete hain
hans ke do bol bhi phir pyar ke rakh dete hain
jab bhi uThti hai nai dil mein tamanna koi
hum jagah par hi use mar ke rakh dete hain
masale ghar ke agar hain to karo hal ghar mein
masale bich mein kyon chaar ke rakh dete hain
hum jahan karte hain taqrir wahan par qisse
apne aslaf ke kirdar ke rakh dete hain
jis ko jis chiz ki hoti hai zarurat 'ahmad'
ru-baru hum wo talabgar ke rakh dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.