hum ki jo baiThe hue hain apne sar pakDe hue
ham ki jo baiThe hue haiñ apne sar pakḌe hue
aap hī zanjīr haiñ aur aap hī jakḌe hue
shaam piilī raakh meñ ḳhūn-e-shafaq kā injimād
raat jaise ḳhvāb-e-yaḳh-basta hoñ din akḌe hue
rañg ke pahre haiñ ruḳhsāroñ kī āb-o-tāb par
aur rañgoñ ko haiñ zulfoñ kī laTeñ jakḌe hue
dhuup ne nāḳhun Dubo.e haiñ guloñ ke ḳhuun meñ
zaḳhm-ḳhurda ḳhushbueñ phirtī haiñ sar pakḌe hue
raat kaalī raat peḌoñ ko hilātī āñdhiyāñ
aur ham baiThe tanāb-e-ḳhvāb haiñ pakḌe hue
hum ki jo baiThe hue hain apne sar pakDe hue
aap hi zanjir hain aur aap hi jakDe hue
sham pili rakh mein KHun-e-shafaq ka injimad
raat jaise KHwab-e-yaKH-basta hon din akDe hue
rang ke pahre hain ruKHsaron ki aab-o-tab par
aur rangon ko hain zulfon ki laTen jakDe hue
dhup ne naKHun Duboe hain gulon ke KHun mein
zaKHm-KHurda KHushbuen phirti hain sar pakDe hue
raat kali raat peDon ko hilati aandhiyan
aur hum baiThe tanab-e-KHwab hain pakDe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.