hum ki KHamosh hue ahl-e-bayan dekhte hain
ham ki ḳhāmosh hue ahl-e-bayāñ dekhte haiñ
raaz andāz-e-takallum se ayaañ dekhte haiñ
jān-levā hai fareb-e-rah-e-gulzār-talab
nashtar-e-shauq qarīb-e-rag-e-jāñ dekhte haiñ
hai usī ghar meñ kahīñ gauhar-e-ummīd nihāñ
sū-e-vīrāna-e-dil bahr-e-amāñ dekhte haiñ
kaise bantā hai lahū surḳhī-e-afsāna-e-dil
kaise bantā hai qalam nok-e-sināñ dekhte haiñ
ātish-e-shauq ko rakhte haiñ ba-har-taur javāñ
ḳhāk-e-gulshan meñ zar-e-gul ke nishāñ dekhte haiñ
ḳhashmagīñ aaj vo yuuñ haiñ ki nahīñ tāb-e-suḳhan
'arsh' ham aaj tirā zor-e-bayāñ dekhte haiñ
hum ki KHamosh hue ahl-e-bayan dekhte hain
raaz andaz-e-takallum se ayan dekhte hain
jaan-lewa hai fareb-e-rah-e-gulzar-talab
nashtar-e-shauq qarib-e-rag-e-jaan dekhte hain
hai usi ghar mein kahin gauhar-e-ummid nihan
su-e-virana-e-dil bahr-e-aman dekhte hain
kaise banta hai lahu surKHi-e-afsana-e-dil
kaise banta hai qalam nok-e-sinan dekhte hain
aatish-e-shauq ko rakhte hain ba-har-taur jawan
KHak-e-gulshan mein zar-e-gul ke nishan dekhte hain
KHashmagin aaj wo yun hain ki nahin tab-e-suKHan
'arsh' hum aaj tera zor-e-bayan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.