hum ki lamhat ke tewar pe nazar rakhte hain
ham ki lamhāt ke tevar pe nazar rakhte haiñ
dekh har haal meñ jiine kā hunar rakhte haiñ
ġhair kī raah pe chalnā nahīñ fitrat apnī
ham zamāne se judā apnī Dagar rakhte haiñ
jo kaTe haq ke liye raunaq-e-maqtal Thahre
ham sajā.e hue shānoñ pe vo sar rakhte haiñ
be-nishānī to muqaddar hai azal se apnā
apnī pahchān kā ik naqsh magar rakhte haiñ
ham vahī ḳhāk-nashīñ haiñ ki zamīñ par rah kar
charḳh ke chāñd sitāroñ pe guzar rakhte haiñ
ham ko āsā.ish-e-manzil na sadā denā kabhī
vo musāfir haiñ ki pairoñ meñ safar rakhte haiñ
vādiyāñ sūrat-e-gulzār mahak uThtī haiñ
ḳhār-zāroñ meñ bhī ham paañv agar rakhte haiñ
hāmil-e-soz ho 'jauhar' na ġhazal kyoñ apnī
ham chhupā.e hue siine meñ sharar rakhte haiñ
hum ki lamhat ke tewar pe nazar rakhte hain
dekh har haal mein jine ka hunar rakhte hain
ghair ki rah pe chalna nahin fitrat apni
hum zamane se juda apni Dagar rakhte hain
jo kaTe haq ke liye raunaq-e-maqtal Thahre
hum sajae hue shanon pe wo sar rakhte hain
be-nishani to muqaddar hai azal se apna
apni pahchan ka ek naqsh magar rakhte hain
hum wahi KHak-nashin hain ki zamin par rah kar
charKH ke chand sitaron pe guzar rakhte hain
hum ko aasaish-e-manzil na sada dena kabhi
wo musafir hain ki pairon mein safar rakhte hain
wadiyan surat-e-gulzar mahak uThti hain
KHar-zaron mein bhi hum panw agar rakhte hain
hamil-e-soz ho 'jauhar' na ghazal kyon apni
hum chhupae hue sine mein sharar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.