hum ki maghlub-e-guman the pahle
ham ki maġhlūb-e-gumāñ the pahle
phir vahīñ haiñ ki jahāñ the pahle
ḳhvāhisheñ jhurriyāñ ban kar ubhrīñ
zaḳhm siine meñ nihāñ the pahle
ab to har baat pe ro dete haiñ
vāqif-e-sūd-o-ziyāñ the pahle
dil se jaise koī kāñTā niklā
ashk āñkhoñ se ravāñ the pahle
ab faqat anjuman-ārā.ī hai
e'tibār-e-dil-o-jāñ the pahle
dosh pe sar hai ki hai barf jamī
ham ki sho.aloñ kī zabāñ the pahle
ab to har taaza sitam hai taslīm
hādse dil pe girāñ the pahle
merī ham-zād hai tanhā.ī mirī
aise rishte bhī kahāñ the pahle
hum ki maghlub-e-guman the pahle
phir wahin hain ki jahan the pahle
KHwahishen jhurriyan ban kar ubhrin
zaKHm sine mein nihan the pahle
ab to har baat pe ro dete hain
waqif-e-sud-o-ziyan the pahle
dil se jaise koi kanTa nikla
ashk aankhon se rawan the pahle
ab faqat anjuman-arai hai
e'tibar-e-dil-o-jaan the pahle
dosh pe sar hai ki hai barf jami
hum ki shoalon ki zaban the pahle
ab to har taza sitam hai taslim
hadse dil pe giran the pahle
meri ham-zad hai tanhai meri
aise rishte bhi kahan the pahle
- Book : Junoon (Pg. 135)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.