hum ki mushkil se teri rahguzar tak pahunche
ham ki mushkil se tirī rāhguzar tak pahuñche
nahīñ mumkin ki tujhe is kī ḳhabar tak pahuñche
sar meñ kuchh aur bhī saudā-e-junūñ-ḳhez baḌhā
jab tire gesū-e-shab-rañg kamar tak pahuñche
āñsuoñ se rahīñ labrez hamesha āñkheñ
tere jalve na kabhī merī nazar tak pahuñche
be-ḳhabar tū hī rahā hai mirī betābi se
mere naale to shab-e-ġham meñ sahar tak pahuñche
merī furqat meñ du'ā ek yahī hai 'sāqib'
aah merī na kabhī hadd-e-asar tak pahuñche
hum ki mushkil se teri rahguzar tak pahunche
nahin mumkin ki tujhe is ki KHabar tak pahunche
sar mein kuchh aur bhi sauda-e-junun-KHez baDha
jab tere gesu-e-shab-rang kamar tak pahunche
aansuon se rahin labrez hamesha aankhen
tere jalwe na kabhi meri nazar tak pahunche
be-KHabar tu hi raha hai meri betabi se
mere nale to shab-e-gham mein sahar tak pahunche
meri furqat mein du'a ek yahi hai 'saqib'
aah meri na kabhi hadd-e-asar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.