hum kinara kiye kinaron se
ham kinārā kiye kināroñ se
khelā karte haiñ mañjdhāroñ se
ham guzarte haiñ khelte hañste
shola-zāroñ se ḳhārzāroñ se
naam paate haiñ nāseh-e-be-nām
ham se badnām bāda-ḳhvāroñ se
tuf ba-matlab-barārī-e-yārāñ
uf ye atvār ḳhāksāroñ se
jin ke dil meñ guloñ kī chāhat hai
pahle vo suraḳh-rū hoñ ḳhāroñ se
dil kī rāhoñ meñ bo liye kāñTe
kar ke ummīd gul-ezāroñ se
yuuñ hai jumbish meñ phuul kī Daalī
vo bulāte haiñ juuñ ishāroñ se
yuuñ to mah-vash hazār dekhe haiñ
tum judā ho magar hazāroñ se
bul-havas hai raqīb bātin meñ
taur zāhir meñ jāñ-nisāroñ se
ik fasāna ki thā dayār apnā
ik haqīqat ki be-dayāroñ se
tū ne ai dost saath kyā chhoḌā
dil laraztā hai ab sahāroñ se
garm bāzār hai mire fan kā
daad paatā huuñ naqd-kāroñ se
ruuTh jaa.eñ na vo kahīñ 'āmir'
sher paḌhiye na yuuñ ishāroñ se
hum kinara kiye kinaron se
khela karte hain manjdhaaron se
hum guzarte hain khelte hanste
shola-zaron se KHarzaron se
nam pate hain naseh-e-be-nam
hum se badnam baada-KHwaron se
tuf ba-matlab-barari-e-yaran
uf ye atwar KHaksaron se
jin ke dil mein gulon ki chahat hai
pahle wo suraKH-ru hon KHaron se
dil ki rahon mein bo liye kanTe
kar ke ummid gul-ezaron se
yun hai jumbish mein phul ki Dali
wo bulate hain jun ishaaron se
yun to mah-wash hazar dekhe hain
tum juda ho magar hazaron se
bul-hawas hai raqib baatin mein
taur zahir mein jaan-nisaron se
ek fasana ki tha dayar apna
ek haqiqat ki be-dayaron se
tu ne ai dost sath kya chhoDa
dil larazta hai ab sahaaron se
garm bazar hai mere fan ka
dad pata hun naqd-karon se
ruTh jaen na wo kahin 'amir'
sher paDhiye na yun ishaaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.