hum kisi baat par nahin rote
ham kisī baat par nahīñ rote
apnī auqāt par nahīñ rote
tum agar hote karbalā vaale
jañg meñ maat par nahīñ rote
sub.h ko shaam kī nahīñ parvā
din bhī ab raat par nahīñ rote
zindagī un pe naaz kartī hai
jo bhī hālāt par nahīñ rote
hijr kā jashn ham manā.eñ kyā
sard jazbāt par nahīñ rote
un kā dil dil nahīñ hai patthar hai
jo fasādāt par nahīñ rote
hum kisi baat par nahin rote
apni auqat par nahin rote
tum agar hote karbala wale
jang mein mat par nahin rote
subh ko sham ki nahin parwa
din bhi ab raat par nahin rote
zindagi un pe naz karti hai
jo bhi haalat par nahin rote
hijr ka jashn hum manaen kya
sard jazbaat par nahin rote
un ka dil dil nahin hai patthar hai
jo fasadat par nahin rote
- Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.