hum kisi ke kabhi kahne pe nahin chalte the
ham kisī ke kabhī kahne pe nahīñ chalte the
log thak jaate the paikar meñ nahīñ Dhalte the
toḌ Daale inhīñ logoñ ne sab a.azā mere
ye vahī log haiñ andar jo mire palte the
ab vahī āñkheñ umīdoñ se hameñ taktī haiñ
haañ vahīñ āñkheñ ki ham jin ko bahut khalte the
thakne lagtī thī vo laḌkī hameñ samjhāte hue
ham bhī vo qais the jo dar se nahīñ Talte the
dhīre dhīre unheñ bhī rang tirā bhāne lagā
tujh se jo log 'nitin' pahle bahut jalte the
hum kisi ke kabhi kahne pe nahin chalte the
log thak jate the paikar mein nahin Dhalte the
toD Dale inhin logon ne sab aaza mere
ye wahi log hain andar jo mere palte the
ab wahi aankhen umidon se hamein takti hain
han wahin aankhen ki hum jin ko bahut khalte the
thakne lagti thi wo laDki hamein samjhate hue
hum bhi wo qais the jo dar se nahin Talte the
dhire dhire unhen bhi rang tera bhane laga
tujh se jo log 'nitin' pahle bahut jalte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.