hum kisi ki bhi kabhi aankh ke tare na hue
ham kisī kī bhī kabhī aañkh ke taare na hue
jin ko chāhā thā bahut vo bhī hamāre na hue
Dūbte naav ko dekheñ mirī jin ko thī ye fikr
haa.e afsos vo dariyā ke kināre na hue
jo niko-kār the duniyā se vo uThte hī ga.e
the jo bad-kār vo allāh ko pyāre na hue
kaun sī sub.h vo ban kar na lab-e-bām aa.ī
kaun sī shaam ko khiḌkī se ishāre na hue
ye mohabbat to nahīñ ye hai mohabbat kā fareb
ham tumhāre na hue tum bhī hamāre na hue
ātish-e-dil kā bhī kuchh soz nihāñ thā is meñ
mere ashkoñ ke muqābil to sharāre na hue
'soz' ko yaad to guzre hue din kam haiñ magar
mahv dil se jo tire saath guzāre na hue
hum kisi ki bhi kabhi aankh ke tare na hue
jin ko chaha tha bahut wo bhi hamare na hue
Dubte naw ko dekhen meri jin ko thi ye fikr
hae afsos wo dariya ke kinare na hue
jo niko-kar the duniya se wo uThte hi gae
the jo bad-kar wo allah ko pyare na hue
kaun si subh wo ban kar na lab-e-baam aai
kaun si sham ko khiDki se ishaare na hue
ye mohabbat to nahin ye hai mohabbat ka fareb
hum tumhaare na hue tum bhi hamare na hue
aatish-e-dil ka bhi kuchh soz nihan tha is mein
mere ashkon ke muqabil to sharare na hue
'soz' ko yaad to guzre hue din kam hain magar
mahw dil se jo tere sath guzare na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.