hum kisi pyar ke pichhe nahin bhaga karte
ham kisī pyaar ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
bhāgtī car ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
maulvī pādrī panDit ki siyāsat-dāñ hoñ
ham riyā-kār ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
zindagī un kī hī dushvār huī hai jo log
kār-e-dushvār ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
ham vo dīvāne haiñ jo dhun meñ lage rahte haiñ
jiit aur haar ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
apne kirdār pe jo log yaqīñ rakhte haiñ
jhūTī dastār ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
is liye pyaar se rahte haiñ mire gaañv ke log
T v aḳhbār ke pīchhe nahīñ bhāgā karte
hum kisi pyar ke pichhe nahin bhaga karte
bhagti car ke pichhe nahin bhaga karte
maulwi padri panDit ki siyasat-dan hon
hum riya-kar ke pichhe nahin bhaga karte
zindagi un ki hi dushwar hui hai jo log
kar-e-dushwar ke pichhe nahin bhaga karte
hum wo diwane hain jo dhun mein lage rahte hain
jit aur haar ke pichhe nahin bhaga karte
apne kirdar pe jo log yaqin rakhte hain
jhuTi dastar ke pichhe nahin bhaga karte
is liye pyar se rahte hain mere ganw ke log
T w aKHbar ke pichhe nahin bhaga karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.