hum kisi saya-e-diwar mein aa baiThe hain
ham kisī sāya-e-dīvār meñ aa baiThe haiñ
yā kahīñ shaam ke āsār meñ aa baiThe haiñ
ham ki juz apne sivā auroñ se vāqif hī nahīñ
ḳhud se uktā.e to do-chār meñ aa baiThe haiñ
ham ko bhātī na thī ḳhushbū-e-chaman to uTh kar
ghar ke gul-dān kī mahkār meñ aa baiThe haiñ
ye ajab log haiñ jiine kī tamannā le kar
sub.h hote hī saf-e-dār meñ aa baiThe haiñ
chhoḌ kar apne Thikānoñ ko chaman meñ ye parind
jaane kyuuñ vādī-e-pur-ḳhār meñ aa baiThe haiñ
tū na ho to koī tujh sā hī nazar aa.e 'shahāb'
ham jahāñ hasrat-e-dīdār meñ aa baiThe haiñ
hum kisi saya-e-diwar mein aa baiThe hain
ya kahin sham ke aasar mein aa baiThe hain
hum ki juz apne siwa auron se waqif hi nahin
KHud se uktae to do-chaar mein aa baiThe hain
hum ko bhati na thi KHushbu-e-chaman to uTh kar
ghar ke gul-dan ki mahkar mein aa baiThe hain
ye ajab log hain jine ki tamanna le kar
subh hote hi saf-e-dar mein aa baiThe hain
chhoD kar apne Thikanon ko chaman mein ye parind
jaane kyun wadi-e-pur-KHar mein aa baiThe hain
tu na ho to koi tujh sa hi nazar aae 'shahab'
hum jahan hasrat-e-didar mein aa baiThe hain
- Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 118)
- Author : Mustafa Shahab
- Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.