hum ko aah-o-buka nahin karna
ham ko āh-o-bukā nahīñ karnā
un ko va.ada vafā nahīñ karnā
ham pe ilzām hai udāsī kā
rad is ilzām kā nahīñ karnā
tujh se be-shak hameñ bichhaḌnā hai
par terā dil burā nahīñ karnā
shaiḳh jī riñd ko na samjhā.eñ
is ko kyā karnā kyā nahīñ karnā
āshiqī dil-lagī kā sāmāñ hai
in ko qaidī rihā nahīñ karnā
hum ko aah-o-buka nahin karna
un ko wada wafa nahin karna
hum pe ilzam hai udasi ka
rad is ilzam ka nahin karna
tujh se be-shak hamein bichhaDna hai
par tera dil bura nahin karna
shaiKH ji rind ko na samjhaen
is ko kya karna kya nahin karna
aashiqi dil-lagi ka saman hai
in ko qaidi riha nahin karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.