hum ko aata hai jala kar diye ghar ghar rakhna
ham ko aatā hai jalā kar diye ghar ghar rakhnā
ham ne sīkhā na baġhal meñ kabhī ḳhanjar rakhnā
ye to ḳhūbī hai ki shīshoñ se mohabbat rakkho
phir bhī lāzim hai tumheñ haath meñ patthar rakhnā
noch Dāleñgī tujhe tez uqābī nazreñ
duḳhtar-e-sharm lapeTe hue chādar rakhnā
ab kahāñ haiñ vo qalandar kahāñ un ko DhūñDheñ
jin ko āsān thā kuuze meñ samundar rakhnā
bas tumhārā hai yahī aaj ise raushan rakho
kal kī ḳhātir na charāġhoñ ko bujhā kar rakhnā
ye merā azm-e-safar sard na paḌ jaa.e kahīñ
tum mirī raah meñ har din nayā patthar rakhnā
shiddat-e-bhūk se mar jaanā gavāra kar lo
par na ehsāñ kisī kam-zarf kā sar par rakhnā
ghir bhī jaao jo añdheroñ meñ kahīñ tum 'rāhat'
phir bhī nazroñ meñ tum apnī mah-o-aḳhtar rakhnā
hum ko aata hai jala kar diye ghar ghar rakhna
hum ne sikha na baghal mein kabhi KHanjar rakhna
ye to KHubi hai ki shishon se mohabbat rakkho
phir bhi lazim hai tumhein hath mein patthar rakhna
noch Dalengi tujhe tez uqabi nazren
duKHtar-e-sharm lapeTe hue chadar rakhna
ab kahan hain wo qalandar kahan un ko DhunDhen
jin ko aasan tha kuze mein samundar rakhna
bas tumhaara hai yahi aaj ise raushan rakho
kal ki KHatir na charaghon ko bujha kar rakhna
ye mera azm-e-safar sard na paD jae kahin
tum meri rah mein har din naya patthar rakhna
shiddat-e-bhuk se mar jaana gawara kar lo
par na ehsan kisi kam-zarf ka sar par rakhna
ghir bhi jao jo andheron mein kahin tum 'rahat'
phir bhi nazron mein tum apni mah-o-aKHtar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.