hum ko anjam se aagah kiye jata hai
ham ko anjām se āgāh kiye jaatā hai
vaqt āvāz pe āvāz diye jaatā hai
zindagī Thokareñ khātī huī phirtī hai magar
aadmī hai ki bahar-hāl ji.e jaatā hai
kaash vo apnī bhī kotāhī kā ehsās kare
jo muqaddar hī ko ilzām diye jaatā hai
Dūbne vaale ko āvāz koī de ki na de
Dūbne vaalā to āvāz diye jaatā hai
bastiyāñ is se bhī vīrān mileñgī 'razmī'
chhoḌ kar dasht vahāñ kis ke liye jaatā hai
hum ko anjam se aagah kiye jata hai
waqt aawaz pe aawaz diye jata hai
zindagi Thokaren khati hui phirti hai magar
aadmi hai ki bahar-haal jie jata hai
kash wo apni bhi kotahi ka ehsas kare
jo muqaddar hi ko ilzam diye jata hai
Dubne wale ko aawaz koi de ki na de
Dubne wala to aawaz diye jata hai
bastiyan is se bhi viran milengi 'razmi'
chhoD kar dasht wahan kis ke liye jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.