hum ko diwana jaan ke kya kya zulm na Dhaya logon ne
ham ko divāna jaan ke kyā kyā zulm na Dhāyā logoñ ne
diin chhuḌāyā dharm chhuḌāyā des chhuḌāyā logoñ ne
terī galī meñ aa nikle the dosh hamārā itnā thā
patthar maare tohmat bāñdhī aib lagāyā logoñ ne
terī laToñ meñ so lete the be-ghar āshiq be-ghar log
būḌhe bargad aaj tujhe bhī kaaT girāyā logoñ ne
nūr-e-sahar ne nik.hat-e-gul ne rañg-e-shafaq ne kah dī baat
kitnā kitnā merī zabāñ par qufl lagāyā logoñ ne
'mīr-taqī' ke rañg kā ġhāza rū-e-ġhazal par aa na sakā
'kaif' hamāre 'mīr-taqī' kā rañg uḌāyā logoñ ne
hum ko diwana jaan ke kya kya zulm na Dhaya logon ne
din chhuDaya dharm chhuDaya des chhuDaya logon ne
teri gali mein aa nikle the dosh hamara itna tha
patthar mare tohmat bandhi aib lagaya logon ne
teri laTon mein so lete the be-ghar aashiq be-ghar log
buDhe bargad aaj tujhe bhi kaT giraya logon ne
nur-e-sahar ne nikhat-e-gul ne rang-e-shafaq ne kah di baat
kitna kitna meri zaban par qufl lagaya logon ne
'mir-taqi' ke rang ka ghaza ru-e-ghazal par aa na saka
'kaif' hamare 'mir-taqi' ka rang uDaya logon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.