hum ko hai jis ki talab wo yar milta hi nahin
hum ko hai jis ki talab wo yar milta hi nahin
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
ham ko hai jis kī talab vo yaar miltā hī nahīñ
dil churā ke le gayā dildār miltā hī nahīñ
merī jānib se ḳhudā jaane adū ne kyā kahā
is qadar jo ho gayā bezār miltā hī nahīñ
zulf-e-jānāñ kī balā.eñ luuñ kabhī ruḳh par nisār
kaash mil jaa.e kahīñ ik baar miltā hī nahīñ
miltā-jultā rahtā thā har-vaqt vo ab to 'azīz'
aah aisī ho ga.ī takrār miltā hī nahīñ
hum ko hai jis ki talab wo yar milta hi nahin
dil chura ke le gaya dildar milta hi nahin
meri jaanib se KHuda jaane adu ne kya kaha
is qadar jo ho gaya bezar milta hi nahin
zulf-e-jaanan ki balaen lun kabhi ruKH par nisar
kash mil jae kahin ek bar milta hi nahin
milta-julta rahta tha har-waqt wo ab to 'aziz'
aah aisi ho gai takrar milta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.