hum ko hanste hue chehron ki nazar lagti hai
ham ko hañste hue chehroñ kī nazar lagtī hai
ġhair to duur haiñ apnoñ kī nazar lagtī hai
duudh piite hue bal khāte hue dekhte haiñ
sirf sāñpoñ ko saperoñ kī nazar lagtī hai
mustaqil dauḌte dekhā nahīñ jaatā un se
merī raftār ko rastoñ kī nazar lagtī hai
aap aate haiñ nazar mere suḳhan meñ aksar
aap ke husn ko ġhazloñ kī nazar lagtī hai
ham haiñ jis haal meñ dekhā nahīñ jaatā un se
ham bure logoñ ko achchhoñ kī nazar lagtī hai
sāmne aa.eñ to nazreñ nahīñ haTtīñ apnī
ḳhvāb meñ aa.eñ to nīñdoñ kī nazar lagtī hai
apne sheroñ kī ziyāda nahīñ karte tārīf
kyoñ ki bachchoñ ko bhī maaoñ kī nazar lagtī hai
hum ko hanste hue chehron ki nazar lagti hai
ghair to dur hain apnon ki nazar lagti hai
dudh pite hue bal khate hue dekhte hain
sirf sanpon ko saperon ki nazar lagti hai
mustaqil dauDte dekha nahin jata un se
meri raftar ko raston ki nazar lagti hai
aap aate hain nazar mere suKHan mein aksar
aap ke husn ko ghazlon ki nazar lagti hai
hum hain jis haal mein dekha nahin jata un se
hum bure logon ko achchhon ki nazar lagti hai
samne aaen to nazren nahin haTtin apni
KHwab mein aaen to nindon ki nazar lagti hai
apne sheron ki ziyaada nahin karte tarif
kyon ki bachchon ko bhi maon ki nazar lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.