hum ko hasrat did ki hai un ko taDpana pasand
ham ko hasrat diid kī hai un ko taḌpānā pasand
apnī ḳhvāhish kuchh hai aur un kī razā kuchh aur hai
pahle dukh meñ karb thā ab karb detā hai mazā
ibtidā kuchh aur thī aur intihā kuchh aur hai
qaid ke din kaTte kaTte ek din kaT jā.eñge
parda-e-gardūñ meñ kyā jāneñ ki kyā kuchh aur hai
vo bhī ik uljhan meñ haiñ aur ham bhī ik mushkil meñ haiñ
vo sazā kuchh aur dete haiñ ḳhatā kuchh aur hai
hum ko hasrat did ki hai un ko taDpana pasand
apni KHwahish kuchh hai aur un ki raza kuchh aur hai
pahle dukh mein karb tha ab karb deta hai maza
ibtida kuchh aur thi aur intiha kuchh aur hai
qaid ke din kaTte kaTte ek din kaT jaenge
parda-e-gardun mein kya jaanen ki kya kuchh aur hai
wo bhi ek uljhan mein hain aur hum bhi ek mushkil mein hain
wo saza kuchh aur dete hain KHata kuchh aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.