hum ko itna hi bas ghanimat hai
ham ko itnā hī bas ġhanīmat hai
nā sahī ishq par ināyat hai
dil ko inkār hai mohabbat se
aur is kā sabab mohabbat hai
ham bhale jaan haar baiThe hoñ
us ko ik dost kī zarūrat hai
kuchh nahīñ hai gila hameñ us se
zindagī se bahut shikāyat hai
apnī ḳhātir zarā nahīñ fursat
us kī ḳhātir baḌī farāġhat hai
is ġhazal meñ faqat hai hijr-o-visāl
is meñ kuchh bhī nahīñ balāġhat hai
hum ko itna hi bas ghanimat hai
na sahi ishq par inayat hai
dil ko inkar hai mohabbat se
aur is ka sabab mohabbat hai
hum bhale jaan haar baiThe hon
us ko ek dost ki zarurat hai
kuchh nahin hai gila hamein us se
zindagi se bahut shikayat hai
apni KHatir zara nahin fursat
us ki KHatir baDi faraghat hai
is ghazal mein faqat hai hijr-o-visal
is mein kuchh bhi nahin balaghat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.