hum ko jaanan is nagri mein chalna bhi dushwar hua
ham ko jānāñ is nagrī meñ chalnā bhī dushvār huā
logoñ kā har sang-e-malāmat apne liye dīvār huā
dil ke sab dukhḌe dil meñ haiñ phir bhī unheñ ye shikva hai
chāk-garebāñ kyoñ phirte ho dāman kyoñ hai taar huā
sub.h se halkī halkī kasak thī mīThā mīThā dard sā thā
shaam kā pahlā taarā ubhrā zaḳhm-e-jigar bedār huā
ḳhud ko malāmat kyoñ karte ho apne aap se shikva kyā
jaan ke kab dhokā khāyā hai anjāne meñ pyaar huā
ham ko ḳhirad kī raah dikhāne vaale ye kyoñ bhuul ga.e
apne liye is rāh-e-junūñ meñ sahrā bhī gulzār huā
hum ko jaanan is nagri mein chalna bhi dushwar hua
logon ka har sang-e-malamat apne liye diwar hua
dil ke sab dukhDe dil mein hain phir bhi unhen ye shikwa hai
chaak-gareban kyon phirte ho daman kyon hai tar hua
subh se halki halki kasak thi miTha miTha dard sa tha
sham ka pahla tara ubhra zaKHm-e-jigar bedar hua
KHud ko malamat kyon karte ho apne aap se shikwa kya
jaan ke kab dhoka khaya hai anjaane mein pyar hua
hum ko KHirad ki rah dikhane wale ye kyon bhul gae
apne liye is rah-e-junun mein sahra bhi gulzar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.