hum ko jahan-e-shauq ka manzar nahin mila
ham ko jahān-e-shauq kā manzar nahīñ milā
raste kī tez dhuup milī ghar nahīñ milā
tujh meñ jo baat hai vo kisī aur meñ kahāñ
tujh sā koī bhī shaḳhs kahīñ par nahīñ milā
ḳhud hī chunā thā maiñ ne mohabbat kā rāsta
koī bhī dard ḳhud mujhe aa kar nahīñ milā
Dar thā use vabā kā hī pās-e-vafā na thā
aayā to mujh ko dil se lagā kar nahīñ milā
ab ke baras maiñ gaañv se lauTā ba-ḳhairiyat
raste meñ us kī yaad kā lashkar nahīñ milā
maujūd to the zāhirī asbāb bhī tamām
phir sochtā huuñ vo mujhe kyūñkar nahīñ milā
aa.e aur aa ke dekh le dāman kī dhajjiyāñ
jis ko kahīñ dayār-e-sitamgar nahīñ milā
hum ko jahan-e-shauq ka manzar nahin mila
raste ki tez dhup mili ghar nahin mila
tujh mein jo baat hai wo kisi aur mein kahan
tujh sa koi bhi shaKHs kahin par nahin mila
KHud hi chuna tha main ne mohabbat ka rasta
koi bhi dard KHud mujhe aa kar nahin mila
Dar tha use waba ka hi pas-e-wafa na tha
aaya to mujh ko dil se laga kar nahin mila
ab ke baras main ganw se lauTa ba-KHairiyat
raste mein us ki yaad ka lashkar nahin mila
maujud to the zahiri asbab bhi tamam
phir sochta hun wo mujhe kyunkar nahin mila
aae aur aa ke dekh le daman ki dhajjiyan
jis ko kahin dayar-e-sitamgar nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.