hum ko jahan ki ishrat-o-rahat se kya gharaz
ham ko jahāñ kī ishrat-o-rāhat se kyā ġharaz
duniyā-e-be-sabāt kī daulat se kyā ġharaz
gumnām rahnā apne muqaddar meñ hai likhā
ham ko kisī ke gauhar-e-shohrat se kyā ġharaz
maazī kā talḳh jaam hai apne nasīb meñ
ham ko sharāb-e-hāl kī lazzat se kyā ġharaz
ilzām se bache na payambar bhī hai ḳhabar
yārān-e-jahl kī hameñ tohmat se kyā ġharaz
dekhe na koī raushnī-e-dil to kyā huā
andhe jahāñ kī andhī basīrat se kyā ġharaz
ham haiñ alam-nasīb masarrat se be-niyāz
ham ko tumhārī bazm-e-masarrat se kyā ġharaz
ham ne hamesha dahr meñ bāñTā hai pyaar hī
'shāġhil' 'adīb' ham ko adāvat se kyā ġharaz
hum ko jahan ki ishrat-o-rahat se kya gharaz
duniya-e-be-sabaat ki daulat se kya gharaz
gumnam rahna apne muqaddar mein hai likha
hum ko kisi ke gauhar-e-shohrat se kya gharaz
mazi ka talKH jam hai apne nasib mein
hum ko sharab-e-haal ki lazzat se kya gharaz
ilzam se bache na payambar bhi hai KHabar
yaran-e-jahl ki hamein tohmat se kya gharaz
dekhe na koi raushni-e-dil to kya hua
andhe jahan ki andhi basirat se kya gharaz
hum hain alam-nasib masarrat se be-niyaz
hum ko tumhaari bazm-e-masarrat se kya gharaz
hum ne hamesha dahr mein banTa hai pyar hi
'shaghil' 'adib' hum ko adawat se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.