hum ko kab hai ye shikwa hum rahe hain kab tanha
ham ko kab hai ye shikva ham rahe haiñ kab tanhā
ġham bhī saath aa.e haiñ ham chale haiñ jab tanhā
maslahat-parastoñ kī pur-fareb mahfil meñ
dekhiye to sab yakjā jāñchiye to sab tanhā
vo thā jab to jalve the vo nahīñ to yādeñ haiñ
ham rahe na jab tanhā aur haiñ na ab tanhā
dostoñ se khiñchne kī vajah koī to hogī
varna kaun rahtā hai aise be-sabab tanhā
sāhib-e-amal sab hī rif.atoñ ke hāmil haiñ
pastiyoñ meñ baiThe haiñ sāhib-e-nasab tanhā
munharif na ho haq se haq se munharif ho kar
tum bhī rah hī jāoge misl-e-bū-lahab tanhā
kaun rok saktā thā bas hamīñ ne roke haiñ
zulm-o-jabr-o-jaur un ke aur ham ġhazab tanhā
aap ne guzāre haiñ aap kyā guzāreñge
jis tarah guzāre haiñ ham ne roz-o-shab tanhā
haiñ vatan-faroshoñ meñ lan-tarāniyāñ kitnī
aur ham ki baiThe haiñ sī ke apne lab tanhā
hum ko kab hai ye shikwa hum rahe hain kab tanha
gham bhi sath aae hain hum chale hain jab tanha
maslahat-paraston ki pur-fareb mahfil mein
dekhiye to sab yakja jaanchiye to sab tanha
wo tha jab to jalwe the wo nahin to yaaden hain
hum rahe na jab tanha aur hain na ab tanha
doston se khinchne ki wajah koi to hogi
warna kaun rahta hai aise be-sabab tanha
sahib-e-amal sab hi rifaton ke hamil hain
pastiyon mein baiThe hain sahib-e-nasab tanha
munharif na ho haq se haq se munharif ho kar
tum bhi rah hi jaoge misl-e-bu-lahab tanha
kaun rok sakta tha bas hamin ne roke hain
zulm-o-jabr-o-jaur un ke aur hum ghazab tanha
aap ne guzare hain aap kya guzarenge
jis tarah guzare hain hum ne roz-o-shab tanha
hain watan-faroshon mein lan-taraniyan kitni
aur hum ki baiThe hain si ke apne lab tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.