Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko KHayal-e-KHidmat-e-ahl-e-jahan to hai

Musavvir Lakhnavi

hum ko KHayal-e-KHidmat-e-ahl-e-jahan to hai

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    ham ko ḳhayāl-e-ḳhidmat-e-ahl-e-jahāñ to hai

    tāqat nahīñ hai paañv meñ muñh meñ zabāñ to hai

    mujh se koī ta'alluq-e-sūd-o-ziyāñ to hai

    gar mehrbāñ nahīñ hai vo nā-mehrbāñ to hai

    dushman agar hai saarā zamāna to ḳhauf kyā

    merā bhī is jahāñ meñ koī pāsbāñ to hai

    jaane pe mere qaid nahīñ un bazm meñ

    lekin mizāj-e-nāz pe bār-e-garāñ to hai

    apnoñ se ġhair achchhā hai jo ġham-gusār hai

    vo merā chāra-sāz nahīñ meherbāñ to hai

    siine meñ kyoñ jalan ye rahtī hai rāt-din

    maanā ki dil meñ aag nahīñ hai dhuāñ to hai

    piine do mujh ko āñkhoñ se mai-kade meñ aaj

    sāġhar nahīñ hai mai nahīñ pīr-e-muġhāñ to hai

    apne karam se vo jise chāhe navāz de

    jo be-amal hayāt hai vo rā.egāñ to hai

    ye naqsh-e-pā hai rāh-rav-e-rāh-e-arsh

    ab rāh-rau nahīñ hai magar kahkashāñ to hai

    manzil koī na samt koī hogā hashr kyā

    ye kashtī-e-hayāt hamārī ravāñ to hai

    jab sang-dil ke vāste marnā hai Duub kar

    dariyā agar nahīñ hai 'musavvir' kuaañ to hai

    hum ko KHayal-e-KHidmat-e-ahl-e-jahan to hai

    taqat nahin hai panw mein munh mein zaban to hai

    mujh se koi ta'alluq-e-sud-o-ziyan to hai

    gar mehrban nahin hai wo na-mehrban to hai

    dushman agar hai sara zamana to KHauf kya

    mera bhi is jahan mein koi pasban to hai

    jaane pe mere qaid nahin un ki bazm mein

    lekin mizaj-e-naz pe bar-e-garan to hai

    apnon se ghair achchha hai jo gham-gusar hai

    wo mera chaara-saz nahin meherban to hai

    sine mein kyon jalan si ye rahti hai raat-din

    mana ki dil mein aag nahin hai dhuan to hai

    pine do mujh ko aankhon se hi mai-kade mein aaj

    saghar nahin hai mai nahin pir-e-mughan to hai

    apne karam se wo jise chahe nawaz de

    jo be-amal hayat hai wo raegan to hai

    ye naqsh-e-pa hai rah-raw-e-rah-e-arsh ka

    ab rah-rau nahin hai magar kahkashan to hai

    manzil koi na samt koi hoga hashr kya

    ye kashti-e-hayat hamari rawan to hai

    jab sang-dil ke waste marna hai Dub kar

    dariya agar nahin hai 'musawwir' kuan to hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now