hum ko khinche hai koi zat kisi jaanib ko
ham ko khīñche hai koī zaat kisī jānib ko
ham ko le jaa.e hai ye raat kisī jānib ko
shaiḳh kahtā hai tire naam se kuchh aur hameñ
aur jaa.e hai tirī baat kisī jānib ko
vā'izā tere bayānāt haiñ kuchh aur hī samt
aur sahīfoñ ke bayānāt kisī jānib ko
naqsh-e-pā qais ke jaate haiñ dar-e-lailā tak
aur ye ret ke zarrāt kisī jānib ko
ek maiḳhāne meñ kuchh rind-sifat dekhe ga.e
baiThe karte the tirī baat kisī jānib ko
hum ko khinche hai koi zat kisi jaanib ko
hum ko le jae hai ye raat kisi jaanib ko
shaiKH kahta hai tere nam se kuchh aur hamein
aur jae hai teri baat kisi jaanib ko
wa'iza tere bayanat hain kuchh aur hi samt
aur sahifon ke bayanat kisi jaanib ko
naqsh-e-pa qais ke jate hain dar-e-laila tak
aur ye ret ke zarraat kisi jaanib ko
ek maiKHane mein kuchh rind-sifat dekhe gae
baiThe karte the teri baat kisi jaanib ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.