hum ko KHuda ne dil diya dil mein diya gudaz-e-ishq
hum ko KHuda ne dil diya dil mein diya gudaz-e-ishq
Maseehullah Khan Ataa
MORE BYMaseehullah Khan Ataa
ham ko ḳhudā ne dil diyā dil meñ diyā gudāz-e-ishq
baḳhshā ḳhudā ne aap ko husn-e-karishma-sāz-e-ishq
ro.ab-e-jamāl-e-yār se ḳham hai sar-e-niyāz-e-ishq
husn kī bārgāh meñ paḌhte haiñ ham namāz-e-ishq
koī batā.e to hameñ kis ko nahīñ hai āz-e-ishq
kaun hai is jahān meñ be-ġham-o-be-niyāz-e-ishq
ḳhaak meñ mil ke ishq meñ miltī haiñ sar-bulandiyāñ
ho ke zalīl-o-ḳhvār ishq hotā hai sarfarāz ishq
yaarā rahā na zabt kā taab rahī na sabr kī
āh-o-fuġhāñ ne kar diyā faash hamārā rāz-e-ishq
zāhid-e-nā-shanās kā ishq se vāsta hai kyā
kījiye āshiqoñ se hal mas.ala-e-javāz-e-ishq
san.at-e-kirdgār par kartā huuñ jān-o-dil nisār
rakhtā huuñ saarī umr se husn se sāz-o-bāz-e-ishq
khātā hai pahle dil ko ye panja-e-ġham se noch kar
kartā hai aadmī pe vaar jis ghaḌī shāh-bāz-e-ishq
ham vo rahe na dil rahā dil meñ na valvale rahe
bazm-e-shabāb uTh ga.ī band hai soz-o-sāz-e-ishq
husn meñ un ke aur bhī Tak ga.e hote chār-chāñd
kaash ki hote vo kabhī dilbar-o-dil-navāz-e-ishq
hum ko KHuda ne dil diya dil mein diya gudaz-e-ishq
baKHsha KHuda ne aap ko husn-e-karishma-saz-e-ishq
roab-e-jamal-e-yar se KHam hai sar-e-niyaz-e-ishq
husn ki bargah mein paDhte hain hum namaz-e-ishq
koi batae to hamein kis ko nahin hai aaz-e-ishq
kaun hai is jahan mein be-gham-o-be-niyaz-e-ishq
KHak mein mil ke ishq mein milti hain sar-bulandiyan
ho ke zalil-o-KHwar ishq hota hai sarfaraaz ishq
yara raha na zabt ka tab rahi na sabr ki
aah-o-fughan ne kar diya fash hamara raaz-e-ishq
zahid-e-na-shanas ka ishq se wasta hai kya
kijiye aashiqon se hal masala-e-jawaz-e-ishq
sanat-e-kirdgar par karta hun jaan-o-dil nisar
rakhta hun sari umr se husn se saz-o-baz-e-ishq
khata hai pahle dil ko ye panja-e-gham se noch kar
karta hai aadmi pe war jis ghaDi shah-baz-e-ishq
hum wo rahe na dil raha dil mein na walwale rahe
bazm-e-shabab uTh gai band hai soz-o-saz-e-ishq
husn mein un ke aur bhi Tak gae hote chaar-chand
kash ki hote wo kabhi dilbar-o-dil-nawaz-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.