hum ko KHush rahne ki aksar jo dua dete hain
ham ko ḳhush rahne kī aksar jo duā dete haiñ
ġham kā sāmān bhī vo ḳhud hī banā dete haiñ
sar jhukāo to ḳhushāmad hai uThāo to ġhurūr
jaane kis biich ke raste kā patā dete haiñ
un ke chehre se Tapaktā hai chhupā buġhz-o-inād
dars duniyā ko mohabbat kā vo kyā dete haiñ
ham zarūrat meñ kabhī kaam the aa.e jin ke
ham ko vo pahlū-tahī kar ke sila dete haiñ
be-takalluf haiñ magar ham bhī unheñ jānte haiñ
vaqt paḌne pe vo kis tarah daġhā dete haiñ
rā.egāñ Thahre sabhī aañkh se Tapke aañsū
dil pe girte haiñ to ehsās nayā dete haiñ
hum ko KHush rahne ki aksar jo dua dete hain
gham ka saman bhi wo KHud hi bana dete hain
sar jhukao to KHushamad hai uThao to ghurur
jaane kis bich ke raste ka pata dete hain
un ke chehre se Tapakta hai chhupa bughz-o-inad
dars duniya ko mohabbat ka wo kya dete hain
hum zarurat mein kabhi kaam the aae jin ke
hum ko wo pahlu-tahi kar ke sila dete hain
be-takalluf hain magar hum bhi unhen jaante hain
waqt paDne pe wo kis tarah dagha dete hain
raegan Thahre sabhi aankh se Tapke aansu
dil pe girte hain to ehsas naya dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.