hum ko kuchh kaam kyon nahin milta
ham ko kuchh kaam kyoñ nahīñ miltā
dard kā daam kyoñ nahīñ miltā
maiñ ki āġhāz ho ke baiThā huuñ
mujh ko anjām kyoñ nahīñ miltā
log kahte haiñ zinda laash huuñ maiñ
phir bhī ārām kyoñ nahīñ miltā
kuchh to gahrā.ī naap le saaqī
zaḳhm-bhar jaam kyoñ nahīñ miltā
hum ko kuchh kaam kyon nahin milta
dard ka dam kyon nahin milta
main ki aaghaz ho ke baiTha hun
mujh ko anjam kyon nahin milta
log kahte hain zinda lash hun main
phir bhi aaram kyon nahin milta
kuchh to gahrai nap le saqi
zaKHm-bhar jam kyon nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.