hum ko mili saza hai KHata ke baghair bhi
ham ko milī sazā hai ḳhatā ke baġhair bhī
vo bā-vafā hue haiñ vafā ke baġhair bhī
man maar kar jahān meñ jiine ke vāste
rahte haiñ log saath razā ke baġhair bhī
jaadū kisī ke 'ishq kā hogā chalā zarūr
jo laḌkhaḌā rahe haiñ nasha ke baġhair bhī
jo bhī milā hai maan ke qismat use yahāñ
jīvan bitā rahe haiñ maza ke baġhair bhī
dete the sar kaTā kabhī 'izzat ke vāste
ab jī rahe haiñ log anā ke baġhair bhī
pardā haTā ke chāñd sā chehra dikhā.iye
raushan ho merī raat ziyā ke baġhair bhī
peḌoñ ko kaaTo baa'd meñ pahle ye soch lo
kyā saañs le sakoge havā ke baġhair bhī
ye sochnā bhī kufr hai insān ke liye
qaa.em hai kuchh jahāñ meñ ḳhudā ke baġhair bhī
hum ko mili saza hai KHata ke baghair bhi
wo ba-wafa hue hain wafa ke baghair bhi
man mar kar jahan mein jine ke waste
rahte hain log sath raza ke baghair bhi
jadu kisi ke 'ishq ka hoga chala zarur
jo laDkhaDa rahe hain nasha ke baghair bhi
jo bhi mila hai man ke qismat use yahan
jiwan bita rahe hain maza ke baghair bhi
dete the sar kaTa kabhi 'izzat ke waste
ab ji rahe hain log ana ke baghair bhi
parda haTa ke chand sa chehra dikhaiye
raushan ho meri raat ziya ke baghair bhi
peDon ko kaTo ba'd mein pahle ye soch lo
kya sans le sakoge hawa ke baghair bhi
ye sochna bhi kufr hai insan ke liye
qaem hai kuchh jahan mein KHuda ke baghair bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.