hum ko rah-e-ashiqi mein zindagi ka gham na tha
ham ko rāh-e-āshiqī meñ zindagī kā ġham na thā
marhala-dar-marhala ġham-e-āshiqī hī kam na thā
dhīre dhīre siikh lī ham ne nigāhoñ kī zabāñ
un kā andāz-e-takallum bhī bahut mub.ham na thā
shahar kā aalam ki jaise sab yahāñ patthar ke hoñ
ḳhūn-e-insāñ bah rahā thā aur kisī ko ġham na thā
kyoñ churā lete haiñ nazreñ aate jaate log ab
mai-kade kā sāqiyā pahle to ye aalam na thā
āstānoñ par jabīñ-sā.ī mirā sheva nahīñ
mā-sivā tere kisī dar par ye māthā ḳham na thā
mo.ajiza thā aap kā hāthoñ ko mere thāmnā
phir to jaise zindagī meñ koī pech-o-ḳham na thā
hum ko rah-e-ashiqi mein zindagi ka gham na tha
marhala-dar-marhala gham-e-ashiqi hi kam na tha
dhire dhire sikh li hum ne nigahon ki zaban
un ka andaz-e-takallum bhi bahut mubham na tha
shahar ka aalam ki jaise sab yahan patthar ke hon
KHun-e-insan bah raha tha aur kisi ko gham na tha
kyon chura lete hain nazren aate jate log ab
mai-kade ka saqiya pahle to ye aalam na tha
aastanon par jabin-sai mera shewa nahin
ma-siwa tere kisi dar par ye matha KHam na tha
moajiza tha aap ka hathon ko mere thamna
phir to jaise zindagi mein koi pech-o-KHam na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.