hum ko rakhni thi so ek chaak pe rakh di miTTi
ham ko rakhnī thī so ik chaak pe rakh dī miTTī
kūza-gar jaane ki kis shakl Dhalegī miTTī
shahr kī galiyoñ meñ ik shor thā duniyā duniyā
qabr-gāhoñ se sadā aa.ī ki miTTī miTTī
us kī zid thī ki Dhaleñ us kī hī ham shartoñ par
aur ham le ke chale aa.e haiñ apnī miTTī
ek muddat se koī shakl nahīñ miltī hameñ
tū ne kis chaak pe rakh dī ye hamārī miTTī
ham kahāñ aur kisī zaat meñ hote haiñ nihāñ
apnī miTTī se nahīñ miltī kisī kī miTTī
chhān kar dekhnā mil jā.eñgī merī kircheñ
tere āñgan meñ jo ik sub.h milegī miTTī
dasht hī dasht nazar aatā hai mujh ko ai havā
tū ne Daalī hai mirī aañkh meñ kaisī miTTī
ḳhatm hotā hī nahīñ hai kisī ḳhvāhish kā tavāf
kyoñ kisī chaak ko miltī nahīñ achchhī miTTī
hum ko rakhni thi so ek chaak pe rakh di miTTi
kuza-gar jaane ki kis shakl Dhalegi miTTi
shahr ki galiyon mein ek shor tha duniya duniya
qabr-gahon se sada aai ki miTTi miTTi
us ki zid thi ki Dhalen us ki hi hum sharton par
aur hum le ke chale aae hain apni miTTi
ek muddat se koi shakl nahin milti hamein
tu ne kis chaak pe rakh di ye hamari miTTi
hum kahan aur kisi zat mein hote hain nihan
apni miTTi se nahin milti kisi ki miTTi
chhan kar dekhna mil jaengi meri kirchen
tere aangan mein jo ek subh milegi miTTi
dasht hi dasht nazar aata hai mujh ko ai hawa
tu ne Dali hai meri aankh mein kaisi miTTi
KHatm hota hi nahin hai kisi KHwahish ka tawaf
kyon kisi chaak ko milti nahin achchhi miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.