Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko rasta bata ke lauT gae

Fahmi Badayuni

hum ko rasta bata ke lauT gae

Fahmi Badayuni

MORE BYFahmi Badayuni

    ham ko rasta batā ke lauT ga.e

    ham-safar muskurā ke lauT ga.e

    vo jo kahte the ghar banā.eñge

    sirf naqsha banā ke lauT ga.e

    raat bhar āñdhiyāñ chalīñ ghar meñ

    tum to parde hilā ke lauT ga.e

    nabz par uñgliyāñ nahīñ rakkhīñ

    sab davā.eñ batā ke lauT ga.e

    jo ḳhudā se milāne aa.e the

    vo ḳhudā se Darā ke lauT ga.e

    hoñTh to hil rahe the raat un ke

    kyā pata kyā batā ke lauT ga.e

    hum ko rasta bata ke lauT gae

    ham-safar muskura ke lauT gae

    wo jo kahte the ghar banaenge

    sirf naqsha bana ke lauT gae

    raat bhar aandhiyan chalin ghar mein

    tum to parde hila ke lauT gae

    nabz par ungliyan nahin rakkhin

    sab dawaen bata ke lauT gae

    jo KHuda se milane aae the

    wo KHuda se Dara ke lauT gae

    honTh to hil rahe the raat un ke

    kya pata kya bata ke lauT gae

    Source :
    • Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 85)
    • Author : Fahmi Badayuni
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now