hum ko roko na koi pine se
ham ko roko na koī piine se
dard sā uTh rahā hai siine se
ham piyeñ aur ham ko hosh na ho
hosh aatā hai ham ko piine se
zindagī maut se bhī bad-tar hai
baaz aa.e ham aise jiine se
aap kā husn ik qayāmat hai
pūchhiye jā kar ābgīne se
sau ġhamoñ kā ilaaj hotā hai
ek jām-e-sharāb piine se
laakh tūfān-e-ġham bhī haar ga.e
qalb-e-'zāhid' ke ik safīne se
hum ko roko na koi pine se
dard sa uTh raha hai sine se
hum piyen aur hum ko hosh na ho
hosh aata hai hum ko pine se
zindagi maut se bhi bad-tar hai
baz aae hum aise jine se
aap ka husn ek qayamat hai
puchhiye ja kar aabgine se
sau ghamon ka ilaj hota hai
ek jam-e-sharab pine se
lakh tufan-e-gham bhi haar gae
qalb-e-'zahid' ke ek safine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.