hum ko to bas phul khilana aata hai
ham ko to bas phuul khilānā aatā hai
tum ko shāyad aag lagānā aatā hai
ta.abīroñ kā saudā kis ko sauñp diyā
maanā tum ko ḳhvāb dikhānā aatā hai
lauT ke jaanā chāho to jā sakte ho
ham ko to bas aage jaanā aatā hai
pal pal ishq kī mazdūrī meñ sarf kare
kis ko itnā naam kamānā aatā hai
naqsh banānā aur kisī kā kaam sahī
ā.īne ko aks banānā aatā hai
aur to kuchh nahīñ aatā ham be-ḳhabaroñ ko
terī galī meñ ānā-jānā aatā hai
hum ko to bas phul khilana aata hai
tum ko shayad aag lagana aata hai
tabiron ka sauda kis ko saunp diya
mana tum ko KHwab dikhana aata hai
lauT ke jaana chaho to ja sakte ho
hum ko to bas aage jaana aata hai
pal pal ishq ki mazduri mein sarf kare
kis ko itna nam kamana aata hai
naqsh banana aur kisi ka kaam sahi
aaine ko aks banana aata hai
aur to kuchh nahin aata hum be-KHabaron ko
teri gali mein aana-jaana aata hai
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 46)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.