hum kuchh is tarah hayat-e-guzaran se guzre
ham kuchh is tarah hayāt-e-guzarāñ se guzre
jaise ehsās koī ḳhvāb-e-girāñ se guzre
yuuñ haqā.eq mirī chashm-e-nigarāñ se guzre
jaise ik mauj-e-havā āb-e-ravāñ se guzre
āgahī ain haqīqat hai magar shart ye hai
pahle taufīq-e-yaqīñ hadd-e-gumāñ se guzre
baaġh kā dard usī phuul ke dil se pūchho
muskurātā huā jo daur-e-ḳhizāñ se guzre
dil kī har baat hai kahnī magar aise meñ nahīñ
harf-e-mauzūa hadīs-e-digarāñ se guzre
ḳhāk-ālūd huī aisī guzar-gāh-e-nasīm
bū-e-gul chīḳh paḌī haa.e kahāñ se guzre
zindagī se ye batā do ki hai manzil kuchh duur
jald hī kashmakash-e-sūd-o-ziyāñ se guzre
ab nigāheñ vo kaheñgī jo zabāñ kahtī thī
ruḳhsat ai dost ki ham lafz-o-bayāñ se guzre
har kalī jaama se bāhar huī jaatī hai 'shahāb'
dekhiye qāfila-e-rang kahāñ se guzre
hum kuchh is tarah hayat-e-guzaran se guzre
jaise ehsas koi KHwab-e-giran se guzre
yun haqaeq meri chashm-e-nigaran se guzre
jaise ek mauj-e-hawa aab-e-rawan se guzre
aagahi ain haqiqat hai magar shart ye hai
pahle taufiq-e-yaqin hadd-e-guman se guzre
bagh ka dard usi phul ke dil se puchho
muskuraata hua jo daur-e-KHizan se guzre
dil ki har baat hai kahni magar aise mein nahin
harf-e-mauzua hadis-e-digaran se guzre
KHak-alud hui aisi guzar-gah-e-nasim
bu-e-gul chiKH paDi hae kahan se guzre
zindagi se ye bata do ki hai manzil kuchh dur
jald hi kashmakash-e-sud-o-ziyan se guzre
ab nigahen wo kahengi jo zaban kahti thi
ruKHsat ai dost ki hum lafz-o-bayan se guzre
har kali jama se bahar hui jati hai 'shahab'
dekhiye qafila-e-rang kahan se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.