hum kya jaanen ghazlen kahna ishq-e-butan man bhae nahin
hum kya jaanen ghazlen kahna ishq-e-butan man bhae nahin
Syed Shameem rajaz
MORE BYSyed Shameem rajaz
ham kyā jāneñ ġhazleñ kahnā ishq-e-butāñ man bhaa.e nahīñ
umr to saarī biit ga.ī aur is nagrī meñ aa.e nahīñ
jo tauhīd ke raaz ko samjhe sab se baḌā vo aalim hai
chāhe qalam se naam bhī apnā us ko likhnā aa.e nahīñ
zulm kī raah pe chalne vaale tere taaj kī ḳhair nahīñ
ye tārīḳh ne daras diyā hai sirf hamārī raa.e nahīñ
rūkhī sūkhī khaa.ī lekin harf na aayā izzat par
chādar chhoTī sī thī apnī pair bahut phailā.e nahīñ
hum kya jaanen ghazlen kahna ishq-e-butan man bhae nahin
umr to sari bit gai aur is nagri mein aae nahin
jo tauhid ke raaz ko samjhe sab se baDa wo aalim hai
chahe qalam se nam bhi apna us ko likhna aae nahin
zulm ki rah pe chalne wale tere taj ki KHair nahin
ye tariKH ne daras diya hai sirf hamari rae nahin
rukhi sukhi khai lekin harf na aaya izzat par
chadar chhoTi si thi apni pair bahut phailae nahin
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 104)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.