hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat
ham kyā ki hadd-e-nazar tak sarāb kī sūrat
na ḳhaak ḳhaak na ab aab aab kī sūrat
khulā thā maiñ bhī kabhī ik gulāb kī sūrat
tamām 'umr jalā āftāb kī sūrat
kināra kaaT rahā huuñ vajūd kā apne
paTak rahā huuñ maiñ sar mauj-e-āb kī sūrat
zabāñ jo suukh rahī hai to kuchh sabab bhī hai
samundaroñ meñ rahā huuñ habāb kī sūrat
barūn-e-shahr hī kyā ki darūn-e-shahr bhī hai
sulagte lamhoñ kā sūraj itaab kī sūrat
ye ḳhālī ḳhālī sī shab lamha-e-siyah se bharī
dikhā.ī tak nahīñ detī hai ḳhvāb kī sūrat
zamīn-e-jism ke andar jo zalzale haiñ bapā
unheñ chhupā.egī kab tak janāb kī sūrat
hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat
na KHak KHak na ab aab aab ki surat
khula tha main bhi kabhi ek gulab ki surat
tamam 'umr jala aaftab ki surat
kinara kaT raha hun wajud ka apne
paTak raha hun main sar mauj-e-ab ki surat
zaban jo sukh rahi hai to kuchh sabab bhi hai
samundaron mein raha hun habab ki surat
barun-e-shahr hi kya ki darun-e-shahr bhi hai
sulagte lamhon ka suraj itab ki surat
ye KHali KHali si shab lamha-e-siyah se bhari
dikhai tak nahin deti hai KHwab ki surat
zamin-e-jism ke andar jo zalzale hain bapa
unhen chhupaegi kab tak janab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.