hum loTte hain wo so rahe hain
ham loTte haiñ vo so rahe haiñ
kyā nāz-o-niyāz ho rahe haiñ
kyā rañg jahāñ meñ ho rahe haiñ
do hañste haiñ chaar ro rahe haiñ
duniyā se alag jo ho rahe haiñ
takiyoñ meñ maze se so rahe haiñ
pahuñchī hai hamārī ab ye hālat
jo hañste the vo bhī ro rahe haiñ
tanhā tah-e-ḳhāk bhī nahīñ ham
hasrat ke saath so rahe haiñ
sote haiñ lahad meñ sone vaale
jo jāgte haiñ vo ro rahe haiñ
arbāb-e-kamāl chal base sab
sau meñ kahīñ ek do rahe haiñ
palkoñ kī jhapak dikhā ke ye but
dil meñ nashtar chubho rahe haiñ
mujh dāġh-nasīb kī lahad par
laale kā vo biij bo rahe haiñ
piirī meñ bhī ham hazār afsos
bachpan kī niiñd sau rahe haiñ
dāman se ham apne dāġh-e-hastī
āb-e-ḳhanjar se do rahe haiñ
meñ jaag rahā huuñ a shab-e-ġham
par mere nasīb sau rahe haiñ
ro.eñge hameñ rulāne vaale
Dūbeñge vo jo Dubo rahe haiñ
ai hashr madīne meñ na kar shor
chup chup sarkār sau rahe haiñ
ā.īne pe bhī kaḌī nigāheñ
kis par ye itaab ho rahe haiñ
bhārī hai jo motiyoñ kā maalā
aaTh aaTh aañsū vo ro rahe haiñ
dil chhīn ke ho ga.e haiñ ġhāfil
fitne vo jagā ke sau rahe haiñ
hai ġhair ke ghar jo in kī dāvat
ham jaan se haath dho rahe haiñ
sad shukr ḳhayāl hai usī kā
ham jis se lipaT ke sau rahe haiñ
ho jaa.eñ na ḳhushk daaġh ke phuul
aañsū un ko bhigo rahe haiñ
aa.egī na phir ke umr-e-rafta
ham muft meñ jaan kho rahe haiñ
kyā girya-e-be-asar se hāsil
is rone pe ham to ro rahe haiñ
fariyād ki nāḳhudā-e-kashtī
kashtī ko mirī Dubo rahe haiñ
kyoñ karte haiñ ġham-gusār taklīf
aañsū mire muñh ko dho rahe haiñ
mahfil barḳhāst hai patañge
ruḳhsat sham.oñ se ho rahe haiñ
hai kuuch kā vaqt āsmāñ par
taare kahīñ naam ko rahe haiñ
un kī bhī numūd hai koī dam
vo bhī na raheñge jo rahe haiñ
duniyā kā ye rang aur ham ko
kuchh hosh nahīñ hai so rahe haiñ
Thahro dam-e-naza.a do ghaḌī aur
do chaar nafas hī to rahe haiñ
phuul un ko pinhā pinhā ke aġhyār
kāñTe mire haq meñ bo rahe haiñ
zaanū pe 'amīr' sar ko rakkhe
pahroñ guzre ki ro rahe haiñ
hum loTte hain wo so rahe hain
kya naz-o-niyaz ho rahe hain
kya rang jahan mein ho rahe hain
do hanste hain chaar ro rahe hain
duniya se alag jo ho rahe hain
takiyon mein maze se so rahe hain
pahunchi hai hamari ab ye haalat
jo hanste the wo bhi ro rahe hain
tanha tah-e-KHak bhi nahin hum
hasrat ke sath so rahe hain
sote hain lahad mein sone wale
jo jagte hain wo ro rahe hain
arbab-e-kamal chal base sab
sau mein kahin ek do rahe hain
palkon ki jhapak dikha ke ye but
dil mein nashtar chubho rahe hain
mujh dagh-nasib ki lahad par
lale ka wo bij bo rahe hain
piri mein bhi hum hazar afsos
bachpan ki nind sau rahe hain
daman se hum apne dagh-e-hasti
aab-e-KHanjar se do rahe hain
mein jag raha hun a shab-e-gham
par mere nasib sau rahe hain
roenge hamein rulane wale
Dubenge wo jo Dubo rahe hain
ai hashr madine mein na kar shor
chup chup sarkar sau rahe hain
aaine pe bhi kaDi nigahen
kis par ye itab ho rahe hain
bhaari hai jo motiyon ka mala
aaTh aaTh aansu wo ro rahe hain
dil chhin ke ho gae hain ghafil
fitne wo jaga ke sau rahe hain
hai ghair ke ghar jo in ki dawat
hum jaan se hath dho rahe hain
sad shukr KHayal hai usi ka
hum jis se lipaT ke sau rahe hain
ho jaen na KHushk dagh ke phul
aansu un ko bhigo rahe hain
aaegi na phir ke umr-e-rafta
hum muft mein jaan kho rahe hain
kya girya-e-be-asar se hasil
is rone pe hum to ro rahe hain
fariyaad ki naKHuda-e-kashti
kashti ko meri Dubo rahe hain
kyon karte hain gham-gusar taklif
aansu mere munh ko dho rahe hain
mahfil barKHast hai patange
ruKHsat shamon se ho rahe hain
hai kuch ka waqt aasman par
tare kahin nam ko rahe hain
un ki bhi numud hai koi dam
wo bhi na rahenge jo rahe hain
duniya ka ye rang aur hum ko
kuchh hosh nahin hai so rahe hain
Thahro dam-e-naza do ghaDi aur
do chaar nafas hi to rahe hain
phul un ko pinha pinha ke aghyar
kanTe mere haq mein bo rahe hain
zanu pe 'amir' sar ko rakkhe
pahron guzre ki ro rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.