hum mubtala-e-dard hain inkar bhi nahin
ham mubtalā-e-dard haiñ inkār bhī nahīñ
lekin kisī pe tohmat-e-āzār bhī nahīñ
ham chāhte haiñ aap ko inkār bhī nahīñ
lekin laboñ pe jur.at-e-iz.hār bhī nahīñ
aatī to haiñ laboñ pe mire siskiyāñ magar
āñkhoñ meñ āñsuon ke gunahgār bhī nahīñ
dil chāhtā hai ġham ke ḳhazāne ko bech duuñ
lekin mire nasīb kā bāzār bhī nahīñ
be-shak ġham-e-hayāt kā tum hī 'ilāj ho
merā nasīb ye ki maiñ bīmār bhī nahīñ
ḳhushbū kī aarzū hai na chāhat hai nuur kī
sach sach kaho ki mujh se tumheñ pyaar bhī nahīñ
hum mubtala-e-dard hain inkar bhi nahin
lekin kisi pe tohmat-e-azar bhi nahin
hum chahte hain aap ko inkar bhi nahin
lekin labon pe jurat-e-izhaar bhi nahin
aati to hain labon pe mere siskiyan magar
aankhon mein aansuon ke gunahgar bhi nahin
dil chahta hai gham ke KHazane ko bech dun
lekin mere nasib ka bazar bhi nahin
be-shak gham-e-hayat ka tum hi 'ilaj ho
mera nasib ye ki main bimar bhi nahin
KHushbu ki aarzu hai na chahat hai nur ki
sach sach kaho ki mujh se tumhein pyar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.